be-khudi mein hai na wo pi kar sambhal jaane mein hai lutf pa-e-yar par jo laghzishen khane mein hai tere wade teri yaaden tere naghme tere khwab husn se bharpur daulat mere kashane mein hai saghar-o-mina mein lahraati hai har mauj-e-sharab ek jawani ka talatum aaj maikhane mein hai bazm-e-duniya mein hain husn-o-ishq yun jalwa-numa raushni hai shama mein to soz parwane mein hai mai ki ek ek bund se tufan-e-masti hai ayan kis ki mai-bar ankhdiyon ka aks paimane mein hai nur ki barish abhi hone de thodi der aur ek zara si der hi to raat dhal jaane mein hai lakh fitrat ne dikhai barq ki chashmak-zani us mein wo shokhi kahan jo tere sharmane mein hai jaan bhi dil bhi jigar bhi aarzu-e-wasl bhi un ke pesh apna sabhi kuchh aaj nazrane mein hai mai ubhar kar jam mein angdaiyan lene lagi kaisa madd-o-jazr saqi tere maikhane mein hai 'charkh' main na-ashna hun hijr ke mahaul se wasl ka rangin pahlu mere afsane mein hai