be-niyaz dahr kar deta hai ishq

be-niyaz dahr kar deta hai ishq
be-zaron ko lal-o-zar deta hai ishq

kam-nihad-o-be-sabaat insan mein
jaane kya kya jama kar deta hai ishq

kaun jaane us ki ulti mantiqen
tute hathon mein sipar deta hai ishq

pahle kar deta hai sab aalam siyah
aur phir apni khabar deta hai ishq

jaan dena khelte hanste hue
qatl hone ka hunar deta hai ishq

kat giren aur phir bhi qaem hain safen
kitne bazu kitne sar deta hai ishq

sar-barahna hain ana gumbad jo the
aandhiyon se sau ko bhar deta hai ishq

dard-mandi par jo qaem hon unhen
nur-afza chashm-e-tar deta hai ishq

ek bojhal raat kat jaane ke baad
ek lamhe ko sahar deta hai ishq

ye samajh tum ko bhi hogi sahibo
dil ko kyun shoalon mein dhar deta hai ishq

chal nikalne ka irada bandhiye
dekhiye samt-e-safar deta hai ishq

qadr hai jis ki khiyam-e-hur mein
aabru ka wo guhar deta hai ishq


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close