be-niyaz naghma-e-duniya hun main apne dil ki dhadkanen sunta hun main wadi-e-qirtas mein bahta hun main aabshaar-e-fikr ka dariya hun main dida-e-be-khwab anjum ki tarah rut koi ho jagta rahta hun main aaine ke ru-ba-ru hairan hun jaane kis ka gum-shuda chehra hun main sar-bulandi kyun na ho mujh ko ata apne sar man ki dua rakhta hun main jaane kyun khud bhi nigahon ki tarah un ki rahon mein bichha jata hun main wo mujhe bahla rahe hain yun 'wali' jaise koi na-samajh bachcha hun main