beja na tha uTh baiThna bechaini se mera

beja na tha uth baithna bechaini se mera
shab samne aankhon ke wo taswir khadi thi

ek hath dhara dil pe ek angusht dahan mein
yun kushta-e-ulfat ki tere lash padi thi

us gauhar-e-yakta ki jo main yaad mein roya
har ashk-e-musalsal mera moti ki ladi thi

sadme se shab-e-hijr ke jita jo bacha tu
bimar-e-tap-e-hijr teri umr badi thi

ki us ne hai aasan dam-e-tegh se warna
manzil ye 'shuur' apne liye sakht kadi thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close