bhaDak uTThenge shoale ek din duniya ki mahfil mein

bhadak utthenge shoale ek din duniya ki mahfil mein
kahan tak jazb hongi bijliyan sabr-azma dil mein

lahu rone lagenge saz-e-ishrat chhedne wale
are ye dard aawaz-e-shikast-e-shisha-e-dil mein

ye chhinten khun ki kafi hain mere bakhshawane ko
nazar aati hai jannat wusat-e-daman-e-qatil mein

abad tak kaukab-e-bakht-e-saadat ban ke chamkenge
hue hain jazb jo qatre lahu ke tegh-e-qatil mein

junun-e-be-sar-o-saman ki zinat dekhne wale
mabaada farq aae ishq ki tadbir-e-manzil mein

hazaron sal soz-e-dil ne ki thi dozakh-ashami
qadam rakhte hi mere lag gai ek aag mahfil mein

magar bhule nahin ho yaad ab tak 'abr-o-'hamid' ki
'aziz' aakhir wo quwwat kyun nahin baqi rahi dil mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close