bhale hi aankh meri sari raat jagegi saja saja ke saliqe se khwab dekhegi ujala apne gharaunde mein rah gaya to raat kahan qayam karegi kahan se guzregi hamari aankh samundar khangalne wali yaqin hai ki kabhi motiyon se khelegi khud-e'timadi zara e'tidal mein rakhiyo ulat gai to wo apni zaban bhulegi suhani sham ke mausam mein kyun udasi hai hawa udhar se chali to kahan pe thahregi kisi ana ko koi maslahat na chhu pae yahi to hai ki mera e'tibar rakkhegi tumhaare sar pe fazilat ki chhanw hai sahib khata-muaf tumhein ye khandar bana degi