bhar jaane do zara mera zarf-e-jigar abhi

bhar jaane do zara mera zarf-e-jigar abhi
zindan ka na kholna tum aa ke dar abhi

utri hai pat pat pe pagal ruton ki dhup
chundhiya rahi hai is liye meri nazar abhi

muddat hui hai aatish-e-dil ko bujhe hue
sanson pe hai magar wo dhuen ka asar abhi

uthne ko ranj-o-gham ke bagule hain dhup mein
sahra-e-chashm mein na bana rahguzar abhi

ek laj hi nahin ye wafa ko khiraj hai
badli mein chup raha hai bhala kyon qamar abhi

yani ye muztarib si nazar be-sabab nahin
khat le ke aa raha hai koi nama-bar abhi

'adil' abhi to aaya nikal kar hai chah se
raste pe uljhanon ke nahin panw dhar abhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close