bhejta hun har roz main jis ko khwab koi an-dekha sa us ki aankhen sari khushbu us ka badan aaina sa us ne bas itna hi pucha sabz chinar ab kitne hain sar se pa tak laraz utha main dil pe gira ek shoala sa chattanon ke sine par bhi khul kar jo muskata hai sar-masti ka sar-chashma hai wo ek pauda nanha sa logo lab kholo kuchh bolo jhelum hai matiyala kyun main ne jab is ko dekha tha ye tha ek aaina sa barf shagufon ke mausam mein kash ek bar aa jate tum mere khaton ki khushbuon ka hota kuchh andaza sa phir bhi ai 'manzur' kisi par hath na ab tak uttha mera ladne ka fan sikh liya hai go main ne bhi thoda sa