bhik le kar hi agar dan kiya jaega

bhik le kar hi agar dan kiya jaega
apni hi zat ka nuqsan kiya jaega

aap ne fikr ki bharpur himayat ki hai
aap ko sahib-e-iman kiya jaega

aap kyun sach ke tahaffuz mein khade hain ab tak
aap ko roz pareshan kiya jaega

hijr ke zakhm to ruswa hi karenge mujh ko
aur phir chaak gareban kiya jaega

apni aankhon mein basa kar ke tera aks-e-jamil
muddaton tak tujhe mehman kiya jaega

is sabab se kabhi nazren na mila pae to
tujh pe ye soch ke ehsan kiya jaega

kaam mushkil hai bharosa hai magar 'rahi' ko
us ke insan ko insan kiya jaega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close