bhul sakta hai unhen koi bhi aise kaise

bhul sakta hai unhen koi bhi aise kaise
raftagan dil mein basa karte hain kaise kaise

jaan le kar bhi agar khush nahin hone wala
koi batlae wo phir manega waise kaise

hanste hanste wo judai ko bhi sah jaega
zinda rah paenge lekin mere jaise kaise

wo to anmol hai nayab hai iklauta hai
us ki tashbih karen hum kisi shai se kaise

ye mere yar ki aankhon mein raha karti thi
puchhiye kuchh na hui dosti mai se kaise

zindagi ye teri raftar ajab tarz ki hai
chalna chahen to chalen hum teri lai se kaise

zindagi se tujhe be-dakhl to kar den jaanan
par tu nikle bhi to nikle rag-o-pai se kaise

kis tarah koi bhula de tujhe dekho to 'wasi'
mashware hum ko mila karte hain kaise kaise


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close