bichhad gaya tha koi khwab-e-dil-nashin mujh se bahut dinon meri aankhen juda rahin mujh se main sans tak nahin leta parai khushbu mein jhijhak rahi hai yunhi shakh-e-yasmin mujh se mere gunah ki mujh ko saza nahin deta mera khuda kahin naraaz to nahin mujh se ye shahkar kisi zid ka shakhsana hai ulajh raha tha bahut naqsh-e-awwalin mujh se main takht par hun magar yun to khak-zada hi gurez karte hain kyun boriya-nashin mujh se ujad ujad ke base hain mere dar-o-diwar bichhad bichhad ke mile hain mere makin mujh se bikhar rahi hai tap-e-intiqam se meri khak guzar rahi hai koi mauj-e-atishin mujh se muhaal hai ki tamasha tamam ho 'shahid' tamash-bin se main khush tamash-bin mujh se