bisat-e-bazm ulat kar kahan gaya saqi faza khamosh, subu chup, udas paimane na ab wo jalwa-e-yusuf na misr ka bazar na ab wo husn ke tewar, na ab wo diwane na harf-e-haq, na wo mansur ki zaban, na wo dar na karbala, na wo katte saron ke nazrane na bayazid, na shibli, na ab junaid koi na ab o soz, na aahen, na haw-hu khane khayal-o-khwab ki surat bikhar gaya mazi na silsile na wo qisse na ab wo afsane na qadr-dan, na koi ham-zaban, na insan dost faza-e-shahr se behtar hain ab to virane badal gae hain taqaze mizaj-e-waqt ke sath na wo sharab, na saqi, na ab wo mai-khane