bujhe charagh jalane mein der lagti hai

bujhe charagh jalane mein der lagti hai
nasib apna banane mein der lagti hai
watan se dur musafir chale to jate hain
watan ko laut ke aane mein der lagti hai
talluqat to ek pal mein tut jate hain
kisi ko dil se bhulane mein der lagti hai
bikhar to jate hain pal-bhar mein dil ke sab tukde
magar ye tukde uthane mein der lagti hai
ye un ki yaad ki khushbu bhi kaisi hai khushbu
chali to aati hai jaane mein der lagti hai
wo zid bhi sath mein late hain jaane jaane ki
ye aur baat ki aane mein der lagti hai
ye ghonsle hain parindon ke un ko mat todo
unhen dobara banane mein der lagti hai
wo daur-e-ishq ki rangin hasin yaadon ke
nuqush dil se mitane mein der lagti hai
ye dagh-e-tark-e-marasim na dijiye hum ko
jigar ke dagh mitane mein der lagti hai
khabar bhi hai tujhe dil ko ujadne wale
dilon ki basti basane mein der lagti hai
tumhein qasam hai bujhao na pyar ki shamen
unhen bujha ke jalane mein der lagti hai
bhulaun kaise achanak kisi ka kho jaana
ye hadsat bhulane mein der lagti hai
zara si baat pe hum se jo ruth jate hain
unhen to 'soz' manane mein der lagti hai
Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close