bura mat man itna hausla achchha nahin lagta

bura mat man itna hausla achchha nahin lagta
ye uthte baithte zikr-e-wafa achchha nahin lagta

jahan le jaana hai le jae aa kar ek phere mein
ki har dam ka taqaza-e-hawa achchha nahin lagta

samajh mein kuchh nahin aata samundar jab bulata hai
kisi sahil ka koi mashwara achchha nahin lagta

jo hona hai so donon jaante hain phir shikayat kya
ye be-masraf khaton ka silsila achchha nahin lagta

ab aise hone ko baaten to aisi roz hoti hain
koi jo dusra bole zara achchha nahin lagta

hamesha hans nahin sakte ye to hum bhi samajhte hain
har ek mahfil mein munh latka hua achchha nahin lagta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close