buton ki kakulon ke dekh kar pech pade hain dil pe kya kya pech par pech tariq-e-ishq be-rahbar na ho tai ki hai ye rah nihayat pech-dar-pech na howe dil ki tukkal kat ke barbaad agar dale na wo tar-e-nazar pech wo zulf us ki jo hai pur-pech o pur-kham kamand-e-jaan hai ai dil us ka har pech 'nazir' ek roz apne zakhm-e-sar ko jo bandha hum ne de kar beshtar pech nazar karte hi us sarkash ne ek bar kaha kar ke sukhan ka mukhtasar pech dua dije hamari tegh ko aaj ki jis ne aap ko bakhsha ye sar-pech