wo pas rah ke bhi mujh mein sama nahin sakta wo muddaton na mile dur ja nahin sakta wo ek yaad jo dil se miti nahin ab tak wo ek nam jo honton pe aa nahin sakta wo ek hansi jo khanakti hai ab bhi kanon mein wo ek latifa jo ab yaad aa nahin sakta wo ek khwab jo phir laut kar nahin aaya wo ek khayal jise main bhula nahin sakta wo ek sher jo main ne kaha nahin ab tak wo ek raaz jise main chhupa nahin sakta