chaar-su hai baDi wahshat ka saman

chaar-su hai badi wahshat ka saman
kisi aaseb ka saya hai yahan

koi aawaz si hai marsiyan-khwan
shahr ka shahr bana goristan

ek makhluq jo basti hai yahan
jis pe insan ka guzarta hai guman

khud to sakit hai misal-e-taswir
jumbish-e-ghair se hai raqs-kunan

koi chehra nahin juz zer-e-naqab
na koi jism hai juz be-dil-o-jaan

ulma hain dushman-e-fahm-o-tahaqiq
kodani shewa-e-danish-mandan

shair-e-qaum pe ban aai hai
kizb kaise ho tasawwuf mein nihan

lab hain masruf-e-qasida-goi
aur aankhon mein hai zillat uryan

sabz khat aaqibat-o-din ke asir
parsa khush-tan-o-nau-khez jawan

ye zan-e-naghma-gar-o-ishq-shiar
yas-o-hasrat se hui hai hairan

kis se ab aarzu-e-wasl karen
is kharabe mein koi mard kahan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close