chaaron taraf hain khar-o-khas dasht mein ghar hai bagh sa choti pe kohsar ki jalta hai kya charagh sa aab-e-rawan ki gunj se shorish-e-khak-o-baad tak main hi hun naqsh-e-jawedan main hi adam-suragh sa subh bhi resha resha hai sham bhi hai rafu-talab sina-e-mahtab bhi warna hai dil-e-dagh sa bahs hui na tabsira shor utha na chup lagi dil ki bisat thi hi kya tut gaya ayagh sa sher kaho to chup rahe kuchh na kaho to chaunk uthe shahr mein ek 'zubair' hai shair-e-kam-dimagh sa