chah mein uski dil ne hamare nam ko chhoDa nam kiya

chah mein us ki dil ne hamare nam ko chhoda nam kiya
shaghl mein us ke shauq badha kar kaam ko chhoda kaam kiya

zulf dupatta dhani main kar ke pinhan mera dil bandh liya
said na khawe kyun-kar jal jab sabze mein pinhan dam kiya

ram par apne aahu-e-dil ko ghurra nihayat tha lekin
chanchal aahu-e-chashm ne us ko ek nigah mein ram kiya

samjhe the yun hum dil ko laga kar pawenge yan aaram bahut
haif usi fahmid ne hum ko kya kya be-aram kiya

hum ne kaha jab naz-e-butan ke tum to bahut kaam aae 'nazir'
sun ke kaha kya aae ji han kuchh but ke muafiq kaam kiya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close