chaha bayan karun jon hai mere KHayal mein

chaha bayan karun jon hai mere khayal mein
mani ulajh ke rah gae lafzon ke jal mein

jita hai kaun bahs mein murakh se aaj tak
be-kar kyun ulajhte ho tum qil-o-qal mein

le jaane wale lut ke sab kuchh chale gae
hum sochte hi rah gae kala hai dal mein

mumkin hai un ke dar se taka sa mile jawab
lekin na hichkichaiye apne sawal mein

rishte ki baat kaun kisi se kare yahan
apna bana ke log phansate hain jal mein

phulon ka dil kali ki tamanna meri dua
kaam aae rang ban ke tumhaare jamal mein

rakhte hain nap tol ke wo har qadam 'shamim'
pyari lage hai un ki ada tedhi chaal mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close