chahat tumhaari sine pe kya gul katar gai

chahat tumhaari sine pe kya gul katar gai
kis khush-saliqagi se jigar chaak kar gai

rakkhi thi jo sambhaal ke tu ne salamti
wo tere baad kis ko pata kis ke ghar gai

jo zindagi samet ke rakkhi thi aaj tak
ek lamha-e-khafif mein yaksar bikhar gai

bhatke hue the aise ki gard-e-safar ko hum
mud mud ke dekhte rahe manzil guzar gai

ek umr dhup mein jo pali thi wo kashmakash
saya ghane darakht ka dekha to dar gai

hairat hai kuchh pata na chala kaise zindagi
jaisi guzarni thi meri waisi guzar gai

ochhon ki taba 'azar'-e-khush-khu se puchhiye
jun hi hawa-e-waqt lagi bas aphar gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close