chain ghar mein na kabhi tere nagar mein paun

chain ghar mein na kabhi tere nagar mein paun
khud ko har lamha main ek lambe safar mein paun

koi aawaz na saya na hawa mein halchal
mo'tariz soch mein kya baith ke ghar mein paun

tu kabhi phul kabhi chandni tha mere liye
ab tujhe pairhan-e-barq-o-sharar mein paun

main kahin jism kahin aur meri ruh kahin
khud ko bikhra hua har rahguzar mein paun

mujh se har lamha koi jurm naya hota hai
ek na ek hadisa har taza khabar mein paun

main gawahi pe to tayyar hun khud apne khilaf
waqat-e-adl jo munsif ki nazar mein paun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close