chain kab aata hai ghar mein tere diwane ko phir liye jati hai wahshat mujhe virane ko tum mitate ho jo mujh ko to samajh lo ye bhi shama roti hai bahut mar ke parwane ko hai agar aish kisi ko to bala se apni hum to paida hue hain ranj-o-alam khane ko khud bhi suli pe chadha yar ko ruswa bhi kiya kya kahe ab koi mansur se diwane ko bu haqiqat ki na ho to gul-e-mazmun kya hai phul kaghaz ka hai ek dekhne dikhlane ko nam ko bhi na kisi aankh se aansu nikla shama mahfil mein jalati rahi parwane ko koi hamdard nahin apna zamane mein 'zafar' aazma dekha hai har apne ko begane ko