chala-chal mohlat-e-aram kya hai musafir aur tera kaam kya hai hamara wasta hai un ke dar se hamein sare jahan se kaam kya hai tumhaara husn to hai ghair-fani hamare ishq ka anjam kya hai khuda ka nam lena chahta hun magar mere khuda ka nam kya hai swad-e-sham-e-mai-khana salamat bayaz-e-jama-e-ehram kya hai tum apne aaine se puchh lete hamare ishq par ilzam kya hai hamein khud rasta chalna na aaya faraaz o past par ilzam kya hai suno ai aashiyan ke khushk tinko bahaar-e-bagh ka paigham kya hai khirad ke masale hal karne walo tumhein mere junun se kaam kya hai khabar khud mauj-e-tufan ko nahin hai safine ka mere anjam kya hai ba-rah-e-rast un ko mangta hun takalluf ka dua mein kaam kya hai had-e-parwaz jab simti to samjhe qafas kya aashiyan kya dam kya hai 'saba' tark-e-mohabbat kar rahe ho mohabbat se zaruri kaam kya hai