chalan is doghli duniya ka gar manzur ho jata

chalan is doghli duniya ka gar manzur ho jata
wo mujh se dur ho jata main us se dur ho jata

hunar hathon se chikne ka bacha kar le gaya mujh ko
bharose panw ke rahta to main mazur ho jata

zamane-bhar ki baaton ko agar dil se laga leta
jahan pe dil dhadakta hai wahan nasur ho jata

safar karte hue apna hata kar aankh se patti
main sang-e-mil jo padhta thakan se chur ho jata

ye 'fani' dil ki sunta hai tabhi gumnam hai ab tak
agar ye zehn ki sunta bahut mashhur ho jata


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close