chamak kaisi ruKH-r-anwar mein hai

chamak kaisi rukh-r-anwar mein hai
zamana sara hi asrar mein hai

lagaen apne fan-paron ki qimat
ki ab har chiz hi bazar mein hai

kai aankhen gadhi jati hain mujh mein
koi rauzan dar-o-diwar mein hai

raha hun muntazir jis ka azal se
wahi chehra mere afkar mein hai

nahin pahla sa ab rang-e-bahaaran
ki virani gul-o-gulzar mein hai

hadis dil bayan kaise ho 'asi'
mujhe mushkil bahut izhaar mein hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close