chaman ko Khaar-o-KHas-e-ashiyan se aar na ho

chaman ko khar-o-khas-e-ashiyan se aar na ho
kahin guzishta bahaaron ki yaadgar na ho

chamak raha hai andhere mein karobar-e-hayat
nazar nazar ho to jina bhi sazgar na ho

ye zulf-o-rukh ye shab-o-roz ye bahaar-o-khizan
wo silsila hai ki qat-e-nazar bhi bar na ho

bahaar kuchh jo mili rang-o-bu se begana
wo aa gae ki anasir mein intishaar na ho

ye tar-o-pud nizam-e-khirad bikhar ke rahe
junun ba-qadr-e-tajalli jo hoshiyar na ho

ye dar raha hun main takrar-e-mausam-e-gul se
mita hua koi aalam phir aashkar na ho

ye aarzu hai ki khush-fahmi-e-talab hai 'nushur'
umid kya hai jo duniya umid-war na ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close