chaman mein aatish-e-gul bhi nahin dhuan bhi nahin

chaman mein aatish-e-gul bhi nahin dhuan bhi nahin
bahaar to ye nahin hai magar khizan bhi nahin

bichhad gae hain kahan ham-safar khuda jaane
nuqush-e-pa bhi nahin gard-e-karwan bhi nahin

tawaf-e-kaba kiya but-kada bhi dekh aae
sukun-e-qalb yahan bhi nahin wahan bhi nahin

qafas hai gosha-e-rahat qafas hai dar-e-aman
gham-e-chaman bhi nahin fikr-e-ashiyan bhi nahin

kahan ke git kahan ki ghazal ki ham-sukhano
bahut dinon se hamein jurat-e-fughan bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close