chaman mein rah ke bhi kyun dil ki virani nahin jati bas itni baat par logon ki hairani nahin jati muqaddar par hua hun jab se main raazi usi din se khushi ho ya ki gham chehre ki tabani nahin jati farishte bhi hamari qismaton par naz karte hain magar apni haqiqat hum se pahchani nahin jati ana ka masala diwangi se kam nahin hota haqiqat kitni bhi wazeh ho wo mani nahin jati haqiqat mein wo aaina-sifat insan hota hai ki tauba kar ke bhi jis ki pashemani nahin jati ye shikwe aur ye hile-bahane kyun abas kije jinhen bachna ho un ki pak-damani nahin jati nazar mein phir raha hai bas kisi ke husn ka manzar mazaq-e-did ki wo jalwa-samani nahin jati mohabbat ke liye ab to riya-kari zaruri hai yahan ahl-e-junun ki qadr pahchani nahin jati qayamat ki nishani ye nahin to aur phir kya hai libas achchhe hain lekin phir bhi uryani nahin jati talluq duriyon se aur bhi mazbut hota hai 'sahar' insan ki lekin khu-e-nadani nahin jati