chand ki awwal kiran manzar-ba-manzar aaegi

chand ki awwal kiran manzar-ba-manzar aaegi
sham dhal jaane do shab zina utar kar aaegi

mere bistar tak abhi aai hai wo khushbu-e-khwab
rafta rafta bazuon mein bhi badan bhar aaegi

jaane wo bolega kya kya aur bari ho jaega
kuchh sununga main to sab tohmat mere sar aaegi

wo khadi hai ek riwayat ki tarah dahliz par
sair ka bhi shauq hai lekin na bahar aaegi

yun ki tujh se dur bhi hote chale jaenge hum
jaante bhi hain sada teri barabar aaegi

kya khada naddi kinare dekhta hai wusaten
kya samajhta hai koi mauj-e-samundar aaegi

kya ajab hote hain baatin raston ke silsile
koi bhi zindan ho 'bani' raushni dar aaegi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close