chand ko reshmi baadal se ulajhta dekhun

chand ko reshmi baadal se ulajhta dekhun
wo hawa hai kabhi aanchal kabhi chehra dekhun

dekhne nikla hun duniya ko magar kya dekhun
jis taraf aankh uthaun wahi chehra dekhun

us ke chehre se lapak utthe to lau tham jae
dil mein hasrat hai daricha wahi khulta dekhun

daera khinch ke baitha hun badi muddat se
khud se niklun to kisi aur ka rasta dekhun

ye wo darwaza hai kholun to koi aa na sake
aur agar band karun dil hi mein duniya dekhun

wo ajab chiz hai us ka koi chehra hi nahin
ek parda jo uthe dusra parda dekhun

wo chaka-chaund se niklega na ghar se koi
dhup agar chhitke wo hansta hua chehra dekhun

mera saya ho ki main koi to dhoka hai zarur
ghar mein aaina ki ghar se pare dariya dekhun

koi phal-phul nahin maghribi chattanon par
chand jis ganw se ugta hai wo duniya dekhun

raat-bhar roke bhi bujhti nahin sine ki tapish
kabhi yun ho ke sirhane ko sulagta dekhun

'ashk' kuchh baat hi karne ka bahana mil jae
us ke chehre pe agar yas ka saya dekhun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close