chand kohre ke jaziron mein bhaTakta hoga

chand kohre ke jaziron mein bhatakta hoga
raqs-gah mein tu ne malbus utara hoga

yak-ba-yak chikh uthe chaar dishaon ka sukut
zard din mein kabhi aisa ho to phir kya hoga

the wo darmanda-e-shab jag ke phir sote the
shahr-e-zulmat hai kab is mein sawera hoga

aankh ke kale gadhon mein wo giraftar the sab
kis ne girte houn ko hath se thama hoga

sang-o-ahan ki fasilon pe sharare lapke
khun alfaz ki rag rag ne uchhaala hoga

le gai bahti hawa dur bahut dur mujhe
tu ne ghar ghar mujhe bekar talasha hoga

kai diwaren hui hain pas-e-diwar khadi
phir koi sokhta-dil raat ko chikha hoga

mauj-dar-mauj hai an-dekhe jaziron ka fusun
tu ne shab bhar mujhe sahil pe pukara hoga

shahr ki sadkon pe ye ghumte kale jangal
gher len mujh ko ye har samt se phir kya hoga

bahr to bahr hai ru-posh hue dasht-o-jabal
kya khabar thi ye mere jism ka saya hoga

tum bhala mujh se khafa ho ke kahan jaogi
shahr ki galiyon mein is waqt andhera hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close