chand lamhon ke liye ek mulaqat rahi

chand lamhon ke liye ek mulaqat rahi
phir na wo tu na wo main aur na wo raat rahi

kurra-e-arz ne dekha hi na tha wo khurshid
jis ki gardish mein shab o roz meri zat rahi

ab to har shakhs ujalon mein khada hai uryan
kaun si shakl pas-e-parda-e-zulmat rahi

sard-mehri mere lahje mein bhi hogi lekin
tujh mein khud bhi to na pahli si koi baat rahi

haal-e-dil us ko suna kar hai bahut khush 'kausar'
lekin ab soch zara kya teri auqat rahi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close