chand mohmal si lakiren hi sahi ifsha rahun

chand mohmal si lakiren hi sahi ifsha rahun
nok-e-khama par ba-rang-e-raushnai kya rahun

koi shayad aa hi jae rasta takta rahun
ek sang-e-mil ban jaun ba-chashm-e-wa rahun

khai se sab ko bacha lun main na kuchla jaun to
ban ke khatre ka nishan raste mein istada rahun

dasht-e-tanhai mein yaadon ke darindon se darun
bach-bacha ke bhid mein aaun to phir tanha rahun

zarre zarre mein bikhar jaana hai takmil-e-hayat
mujh ko ye zeba nahin ab zat mein simta rahun

apni aawazen hi jab bar-e-samaat hain 'zahir'
chikhte gumbad mein behtar hai ki main gunga rahun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close