chand ne aaj jab ek nam liya aaKHir-e-shab

chand ne aaj jab ek nam liya aakhir-e-shab
dil ne khwabon se bahut kaam liya aakhir-e-shab

hae wo khwab ki tabir se sarshaar bhi tha
us ki aankhon se jo inam liya aakhir-e-shab

hae kya pyas thi jab us ke labon se main ne
muskuraata hua ek jam liya aakhir-e-shab

main jo girta bhi to qadmon mein usi ke girta
us ne khud badh ke mujhe tham liya aakhir-e-shab

zindagi bhar ki masafat ka mudawa kahiye
us ki bahon mein jo aaram liya aakhir-e-shab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close