chand ne apna dip jalaya sham bujhi virane mein

chand ne apna dip jalaya sham bujhi virane mein
us ki basti dur hai shayad der hai us ke aane mein

kya patthar ki bhaari sil hai ek ek lamha mazi ka
dekho dab kar rah jaoge itna bojh uthane mein

us ko nahin dekha hai jis ne mujh ko bhala kya samjhega
in aankhon se guzarna hoga mere dil tak aane mein

apni zat se kuchh nisbat thi wo bhi is ki khatir se
mera zikr nahin milta hai ab mere afsane mein

ek hi dukh tha mera apna wo bhi is ko saunp diya
aakhir dil ki baat zaban tak aa hi gai anjaane mein

ab to tum bhi jaan gai ho tum ko kya sukh milta tha
mere ghar ke kaam mein meri man ka hath batane mein

meri raaton mein mahke hain jo sapnon ki dali se
rang hai in phulon ka shamil aaj tere sharmane mein

jis se baat bhi karni mushkil wo bhi is mahfil mein hai
'mushaf' kaisa lutf rahega us ko sher sunane mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close