chand nikla hai sar-e-qarya-e-zulmat dekho

chand nikla hai sar-e-qarya-e-zulmat dekho
ho gai kaisi siyah-khanon ki rangat dekho

samne jo hai use aankh ka dhoka samjho
in dayaron ko sada khwab ki surat dekho

sair hai jaise koi, aise jahan se guzro
dur tak phaila hai ek arsa-e-furqat dekho

zar ki parchhain jo padti hai chamak uthta hai
aadam-e-khak ki be-hoshi mein haalat dekho

khauf deta hai yahan abr mein tanha hona
shahr-e-dar-band mein diwaron ki kasrat dekho

saya hai un pe bahut bhuli hui yaadon ka
sham aai hai pari-zadon mein wahshat dekho

dagh hai is ke na hone se dilon mein ab tak
ud gaya misl-e-saba gul ki haqiqat dekho

jangalon mein koi pichhe se bulae to 'munir'
mud ke raste mein kabhi us ki taraf mat dekho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close