chand sa chehra jo us ka aashkara ho gaya tan pe har qatra pasine ka sharara ho gaya chhup saka dam bhar na raaz-e-dil firaq-e-yar mein wo nihan jis dam hua sab aashkara ho gaya jis ko dekha chashm-e-wehdat se wahi mashuq hai pad gai jis par nazar us ka nazara ho gaya ham-kinari ki hawas ai gauhar-e-yakta ye hai aab ho kar gham se dil dariya hamara ho gaya khalq mein gard-e-yatimi se guhar ki qadr hai khaksari se fuzun rutba hamara ho gaya dil mein hai ai 'barq' us but ke dar-e-dandan ki yaad ye guhar arsh-e-barin ka goshwara ho gaya