chandni-raat mein sandal sa bikharta saya

chandni-raat mein sandal sa bikharta saya
ek aaseb ki surat nazar aaya saya

sar pe suraj hai magar hashr ka maidan nahin
jaane kyun rah mein qadmon se hai uljha saya

fard ki zat mein nadida nazare ki tarah
sae ke sath tahalta nazar aaya saya

ye bhi waraftagi-e-shauq mein hota hai guman
abhi aaya hai mere pas mahakta saya

ye wahi log hain jo din mein the mere jaise
sham ke waqt nazar aate hain saya saya

munjamid raushni phuti thi kisi chadar se
main ne kal abr se chhanta hua dekha saya

kal tak is saya-e-diwar mein dam milta tha
zindagi lagti hai ab ek khandar ka saya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close