charagh bujhne lage aur chhai tariki

charagh bujhne lage aur chhai tariki
chuka raha tha main qimat hawa se yari ki

tu soch bhi nahin sakta jis ehtimam ke sath
kate shajar pe parindon ne aah-o-zari ki

wo jis ka ishq mera juzw-e-ruh ban gaya tha
usi ne mujh se mohabbat bhi ikhtiyari ki

tumhaara wajd mein aana faqat dikhawa tha
wo kaifiyat hi nahin thi jo khud pe tari ki

tumhaare shahr ki hurmat ka pas rakhte hue
adu koi na banaya sabhi se yari ki

jahan khuda ki azan ho rahi ho git ki nazr
sunega kaun wahan par sada bhikari ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close