charagh-e-ishq jalta hai hamare qalb-e-viran mein

charagh-e-ishq jalta hai hamare qalb-e-viran mein
chale aao abhi tak raushni hai is bayaban mein

nahin ai dost in ashkon ka koi dekhne wala
darakhshan hain jo anjum ki tarah chaak-e-gareban mein

kuchh aise gham bhi hote hain jo ashkon mein nahin dhalte
sharare ban ke lekin raqs karte hain rag-e-jaan mein

banana tha jise mansur use dar-o-rasan bakhsha
use yusuf banate hain jise rakhte hain zindan mein

wo kashti aaj duba chahti hai pas sahil ke
salamat ek muddat tak rahi jo bahr-e-tufan mein

zamane mein faqat ek bebasi ka sath hota hai
koi apna nahin hota kabhi haal-e-pareshan mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close