charagh-e-sham tha din bhar bujha raha koi

charagh-e-sham tha din bhar bujha raha koi
ghurub shams ke hote hi jal gaya koi

bayan kar nahin sakta kabhi mahasin-e-ishq
koi radif ghazal mein na qafiya koi

rafaqaton mein ajab tarz-e-ajnabiyyat tha
ki sath rah ki bhi hum se raha juda koi

ye rang dard ke aate nahin sukhan mein yunhi
nihaal-e-dil pe mere zakhm hai khula koi

mere safar mein meri ham-safar hai tanhai
ki do qadam na mere sath chal saka koi

na ain par hi ruki shin pe na qaf pe hi
tumhaari yaad ki manzil na intiha koi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close