chashm-e-bina! tere bazar ka mear hain hum

chashm-e-bina! tere bazar ka mear hain hum
dekh tute hue khwabon ke kharidar hain hum

kaise tarikh faramosh karegi hum ko
tegh par khun se likkha hua inkar hain hum

tum jo kahte ho ki baqi na rahe ahl-e-dil
zakhm bechoge chalo becho kharidar hain hum

yunhi lahron se kabhi khelne lag jate hain
ek gharqab hui naw ki patwar hain hum

wo bhi khush hai ki andhere mein pade rahte hain
hum bhi khush hain ki ujale ke taraf-dar hain hum

inkisari ne ajab shan ata ki hum ko
is qadar kham hue lagne laga talwar hain hum

ek muddat se ye manzar nahin badla 'tariq'
waqt us par hai thahra hua is par hain hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close