chashm-e-nam par muskura kar chal diye aag pani mein laga kar chal diye sari mahfil ladkhadati rah gai mast aankhon se pila kar chal diye gard-e-manzil aaj tak hai be-qarar ek qayamat hi utha kar chal diye meri ummidon ki duniya hil gai naz se daman bacha kar chal diye mukhtalif andaz se dekha kiye sab ki nazren aazma kar chal diye gulsitan mein aap aae bhi to kya chand kaliyon ko hansa kar chal diye wajd mein aa kar hawaen rah gain zer-e-lab kuchh gunguna kar chal diye wo faza wo chaudhwin ki chandni husn ki shabnam gira kar chal diye wo tabassum wo adaen wo nigah sab ko diwana bana kar chal diye kuchh khabar un ki bhi hai 'mahir' tumhein aap to ghazlen suna kar chal diye