chashm ko saunpi gai KHidmat-e-KHwab

chashm ko saunpi gai khidmat-e-khwab
dil pe tari hai ajab haalat-e-khwab

khwab ab ke na haqiqat ho jae
ab ke aisi hai meri shiddat-e-khwab

main ne padh li hain teri bhi aankhen
sirf mujh par na laga tohmat-e-khwab

tujh ko muzhda ho meri aankh ki ab
mujh mein baqi na rahi himmat-e-khwab

khwab makhfi hi rahe sab se yahan
kaun karta hai bhala izzat-e-khwab

meri aankhon mein guhar hain kitne
mujh ko hasil hai bahut daulat-e-khwab

tum ki jalwat se gurezan ho bahut
ab to aa jao ki hai khalwat-e-khwab

us ke pahre hain meri aankhon par
us ko malum hai kya quwwat-e-khwab

kitna be-khwab kiya hai tu ne
chhod pichha mera ai aafat-e-khwab

bas kaleja hi chaba jati hai
kitni khunkhar hai ye wahshat-e-khwab

kaenat aur hayat ai 'khalid'
khwab mein jaise koi saat-e-khwab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close