chatak ke ghunche sunate hain kis ka afsana ye kaun aa gaya gulshan mein be-hijabana hamara hausla-e-dil agar salamat hai badal hi denge kisi din nizam-e-mai-khana na hosh aaega us ko tere karam ke baghair teri talash mein jo ho gaya hai diwana yahi hai maslahat-e-waqt sab ko thukra dun mujhe samajhti hai duniya to samjhe diwana kisi ke husn ki tabaniyon ka kya kahna nigahen ho gain qurban misl-e-diwana wahin main josh-e-haqiqat mein sar jhuka dunga jahan milega mujhe naqsh-e-pa-e-jaanana nasihat aap ki hai to baja magar naseh wo kya kare ki hai jis ka mizaj rindana wo jab se mere tasawwur mein aae hain 'kashfi' bana hua hai tajalli-kada ye kashana