chehre pe nur-e-subh siyah gesuon mein raat

chehre pe nur-e-subh siyah gesuon mein raat
utri thi ek pari liye apne paron mein raat

din to shikam ki aag bujhane mein jae hai
shukr-e-khuda ki katti hai danishwaron mein raat

thi wajh-e-khwab kal yahi taskin-e-qalb bhi
hum ko to ab darane lagi zalzalon mein raat

har sahab-e-kamal hai fan ke uruj par
qibla-numa rahi hai sabhi hadson mein raat

aankhon mein un ka husn tha sota main kis tarah
aai thi garche ghar mere kitne dinon mein raat

aawargi ki chhap wo aai thi chhodne
sharminda ho ke laut gai dil-jalon mein raat

kuchh der haw-hu ka tha manzar shabab par
din ki thaki thi so hi gai mandiron mein raat

hum the ki gharq-e-jam rahe mai-kashon ke bich
hum ko talash karti rahi aabidon mein raat

jugnu chamak rahe the ujale mein ishq ke
'daem' qayam karti kahan buz-dilon mein raat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close