chhat pe badli jhuki si rahti hai

chhat pe badli jhuki si rahti hai
kab se barish thami si rahti hai

koi shab dhup ki si kaifiyyat
koi din chandni si rahti hai

ek hasti meri anasir chaar
har taraf se ghiri si rahti hai

kaise ji-bhar ke dekhiye us ko
dekhne mein kami si rahti hai

koi ek zaiqa nahin milta
gham mein shamil khushi si rahti hai

jab se mail hue hain mere qadam
rah mujh se khinchi si rahti hai

ek na ek shaghl chahiye us ko
mujh mein diwangi si rahti hai

tir andhere mein jab chalata hun
dhyan mein raushni si rahti hai

shakh-e-ummid ko khizan na bahaar
ye sab din hari si rahti hai

ek khitte ke bojh se rahi
sari duniya dabi si rahti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close