chhoD kar aise gaya hai chhoDne wala mujhe

chhod kar aise gaya hai chhodne wala mujhe
dosto us ne kahin ka bhi nahin chhoda mujhe

bol-baala is qadar khamoshiyon ka hai yahan
katne ko daudta hai mera hi kamra mujhe

han wahi taswir jo khinchi thi main ne sath mein
han wahi taswir kar jati hai ab tanha mujhe

baat to ye baad ki hai kuchh banunga ya nahin
kuza-gar tu chaak pe to raqs karwata mujhe

bas isi ummid pe hota gaya barbaad main
gar kabhi bikhra to aa kar tu sambhaalega mujhe

aathwin shab bhi mahz kuchh ghanton ki mehman hai
gar manana hota to ab tak mana leta mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close