chhoTi si ek uDan bhari aur bikhar gaya

chhoti si ek udan bhari aur bikhar gaya
chidiya ka bot pankhe se takra ke mar gaya

sarma ki chandni thi jawani guzar gai
jhulsa rahi hai dhup budhapa thahar gaya

ta-subh jhilmilai mere aansuon mein shab
bujhta hua charagh sitaron se bhar gaya

panhaariyon ne gagaron mein nir bhar liye
chadhti nadi ka mast bahaw utar gaya

aawaz ki nami thi jo lafzon tak aa gai
ek ghunt aansuon ka gale mein thahar gaya

hairat ki murti bani main dekhti rahi
wo apne ghar ko chhod ke aage guzar gaya

main raftagan ki baat pe be-sakhta hansi
anjam is hansi ka bhi afsurda-tar gaya

khali gali mein sare makan sochte rahe
kis samt is ko aana tha aur kis nagar gaya

ek ham-safar jo mere kharabe mein sath tha
sochon mein ji raha hai magar dil mein mar gaya

chunari talash karne mein kuchh der ho gai
dar par khada hua tha jo ek khwab mar gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close